ġhazal  ke  parde  meñ  be-parda  ḳhvāhisheñ  likhnā
na  aayā  ham  ko  barahana  guzārisheñ  likhnā
tire  jahāñ  meñ  huuñ  be-sāya  abr  kī  sūrat
mire  nasīb  meñ  be-abr  bārisheñ  likhnā
hisāb-e-dard  to  yuuñ  sab  mirī  nigāh  meñ  hai
jo  mujh  pe  ho  na  sakīñ  vo  navāzisheñ  likhnā
ḳharāsheñ  chehre  kī  siine  ke  zaḳhm  suukh  chale
kahāñ  haiñ  nāḳhun-e-yārāñ  kī  kāvisheñ  likhnā
ham  ek  chaak  haiñ  jo  kūza-gar  ke  haath  meñ  hai
hamārā  kaam  zamāne  kī  gardisheñ  likhnā
ba-rāh-e-rāst  koī  farz  adā  nahīñ  hotā
vahī  sifārisheñ  sunñā  sifārisheñ  likhnā
huā  na  ye  bhī  salīqe  se  zindagī  karte
har  ek  saañs  ko  nākām  koshisheñ  likhnā
kahāñ  vo  log  jo  the  har  taraf  se  nastālīq
purānī  baat  huī  chust  bandisheñ  likhnā
hunar-varo  zarā  kuchh  din  ye  turfagī  bhī  sahī
hamāre  lafzoñ  ko  ma.anī  kī  laġhzisheñ  likhnā
kabhī  jo  ḳhat  use  likhnā  'fazā'  to  rakhnā  yaad
mirī  taraf  se  bhī  kuchh  nek  ḳhvāhisheñ  likhnā