Faza Ibn e Faizi

sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana

Faza Ibn e Faizi

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1923-2009
savāl saḳht thā dariyā ke paar utar jaanā
vo mauj mauj magar ḳhud mirā bikhar jaanā
ye kyā ḳhabar tumheñ kis ruup meñ huuñ zinda maiñ
mile na jism to saa.e ko qatl kar jaanā
paḌā huuñ yaḳh-zada sahrā-e-āgahī meñ hunūz
mire vajūd meñ thoḌī sī dhuup bhar jaanā
kabhī to saath ye āsīb-e-vaqt chhoḌegā
ḳhud apne saa.e ko bhī dekhnā to Dar jaanā
jo chāhte ho sahar ko na.ī zabān mile
to pichhlī shab ke charāġhoñ ko qatl kar jaanā
hamāre ahd kā har zehn to nahīñ jāmid
kisī darīcha-e-ehsās se guzar jaanā
'fazā' tujhī ko ye saffāki-e-hunar bhī milī
ik ek lafz ko yuuñ be-libās kar jaanā
Top Urdushayar.com