fuzūl  shai  huuñ  mirā  ehtirām  mat  karnā
faqat  duā  mujhe  denā  salām  mat  karnā
kahīñ  ruke  to  na  phir  tum  ko  rāsta  degī
ye  zindagī  bhī  safar  hai  qayām  mat  karnā
vo  āshnā  nahīñ  ḳhvāboñ  kī  ma.anaviyyat  kā
hamāre  ḳhvāb  abhī  us  ke  naam  mat  karnā
zabān  muñh  meñ  hai  tār-e-gunah  kī  sūrat
tumhārā  hukm  bajā  hai  kalām  mat  karnā
mirā  vajūd  ki  hai  dāna-e-qanā.at  sā
maiñ  ik  faqīr  parinda  huuñ  daam  mat  karnā
ye  baat  sach  hai  yahāñ  guftugū  avaam  se  hai
magar  adab  ko  guzargāh-e-ām  mat  karnā
'fazā'  charāġh-o-shafaq  donoñ  rahzanoñ  kī  matā.a
jo  ḳhair  chāho  to  raste  meñ  shaam  mat  karnā