achchhā  huā  maiñ  vaqt  ke  mehvar  se  kaT  gayā
qatra  guhar  banā  jo  samundar  se  kaT  gayā
zinda  jo  bach  ga.e  haiñ  saheñ  nafratoñ  ke  dukh
apnā  galā  to  pyaar  ke  ḳhanjar  se  kaT  gayā
mausam  bhī  munfa.il  hai  bahut  kyā  bharūñ  uḌaan
rishta  havāoñ  kā  mire  shahpar  se  kaT  gayā
palkoñ  par  apnī  kaun  mujhe  ab  sajā.egā
maiñ  huuñ  vo  rañg  jo  tire  paikar  se  kaT  gayā
vo  mel-jol  husn  o  basīrat  meñ  ab  kahāñ
jo  silsila  thā  phuul  kā  patthar  se  kaT  gayā
maiñ  dhuup  kā  hisār  huuñ  tū  chhāñv  kī  fasīl
terā  mirā  hisāb  barābar  se  kaT  gayā
kitnā  baḌā  azaab  hai  bātin  kī  kashmakash
ā.īna  sab  kā  garmī-e-jauhar  se  kaT  gayā
sab  apnī  apnī  zaat  ke  zindāñ  meñ  band  haiñ
muddat  huī  ki  rābta  bāhar  se  kaT  gayā
dekhā  gayā  na  mujh  se  ma.ānī  kā  qatl-e-ām
chup-chāp  maiñ  hī  lafzoñ  ke  lashkar  se  kaT  gayā
us  ke  anā  kī  vaz.a  thī  sab  se  alag  'fazā'
kyā  shaḳhs  thā  ki  apne  hī  tevar  se  kaT  gayā