udhar  maz.hab  idhar  insāñ  kī  fitrat  kā  taqāzā  hai
vo  dāmān-e-mah-e-kan.āñ  hai  ye  dast-e-zuleḳhā  hai
idhar  terī  mashiyyat  hai  udhar  hikmat  rasūloñ  kī
ilāhī  aadmī  ke  baab  meñ  kyā  hukm  hotā  hai
ye  maanā  donoñ  hī  dhoke  haiñ  rindī  ho  ki  darveshī
magar  ye  dekhnā  hai  kaun  sā  rañgīn  dhokā  hai
khilaunā  to  nihāyat  shoḳh  o  rañgīñ  hai  tamaddun  kā
muārrif  maiñ  bhī  huuñ  lekin  khilaunā  phir  khilaunā  hai
mire  aage  to  ab  kuchh  din  se  har  aañsū  mohabbat  kā
kanār-e-āb-e-ruknābād  o  gulgasht-e-musallā  hai
mujhe  mālūm  hai  jo  kuchh  tamannā  hai  rasūloñ  kī
magar  kyā  dar-haqīqat  vo  ḳhudā  kī  bhī  tamannā  hai
mashiyyat  khelnā  zebā  nahīñ  merī  basīrat  se
uThā  le  in  khilaunoñ  ko  ye  duniyā  hai  vo  uqbā  hai