sub.h bālīñ pe ye kahtā huā ġham-ḳhvār aayā
uTh ki fariyād-ras-e-āshiq-e-bīmār aayā
baḳht-e-ḳhvābīda gayā zulmat-e-shab ke hamrāh
sub.h kā nuur liye daulat-e-bedār aayā
ḳhair se baaġh meñ phir ġhuncha-e-gul-rañg khilā
shukr hai daur meñ phir sāġhar-e-sarshār aayā
jhuum ai tishna-e-gul-bāñg nigār-e-ishrat
ki lab-e-yār liye chashma-e-guftār aayā
shukr-e-īzad ki vo sarḳhail-e-masīhā-nafsāñ
zulf bar-dosh pai-e-pursish-e-bīmār aayā
ruḳhsat ai shikva-e-qismat ki sar-e-bazm-e-nashāt
nāsiḳh-e-mas.ala-e-andak-o-bisyār aayā
lillāhil-hamd ki gulzār meñ hañgām-e-subūh
hukm-e-āzādi-e-murġhān-e-giraftār aayā
ġhuncha-e-basta chaTak jaag uThī mauj-e-sabā
shola-e-husn bhaḌak misr kā bāzār aayā
ḳhush ho ai ishq ki phir husn huā mā.il-e-nāz
muzhda ai jins-e-mohabbat ki ḳharīdār aayā
ai nazar shukr bajā lā ki khulī zulf-e-darāz
ai sadaf aañkh uThā abr-e-guhar-bār aayā
bādbāñ naaz se lahrā ke chalī bād-e-murād
kārvāñ iid manā qāfila-sālār aayā
ḳhush ho ai gosh ki jibrīl-e-tarannum chahkā
muzhda ai chashm ki paiġhambar-e-anvār aayā
ḳhush ho ai pīr-e-muġhāñ 'josh' huā naġhma-farosh
muzhda ai duḳhtar-e-raz rind-e-qadah-ḳhvār aayā