maiñ  ne  to  ik  baat  kahī  thī  baat  ko  phailāyā  hai  kitnā
ab  maiñ  samjhā  huuñ  duniyā  ne  mujh  ko  pahchānā  hai  kitnā
jaane  kis  ne  thappaḌ  maarā  kaale  bādal  ke  chehre  par
maiñ  ne  dekhā  hai  bādal  ko  ġhusse  meñ  barsā  hai  kitnā
lāThī  paanī  meñ  Dāloñ  to  vāpas  aatī  hai  paanī  par
dariyā  zor-āvar  hai  kitnā  merā  sarmāya  hai  kitnā
kal  maiñ  ne  kuchh  chehre  dekhe  cafe  ke  ik  lawn  meñ  baiThe
kyā  batlā.ūñ  mujh  ko  us  kā  chehra  yaad  aayā  hai  kitnā
us  se  mil  kar  ḳhush  hotā  huuñ  phir  is  soch  meñ  kho  jaatā  huuñ
bāhar  se  ujlā  hai  kitnā  andar  se  kaalā  hai  kitnā
'rāmpūr'  jī  ye  mat  pūchho  dil  merā  rone  lagtā  hai
kyā  boloñ  sochā  hai  kitnā  aur  us  ko  paayā  hai  kitnā