maiñ  jaisā  bhī  huuñ  tere  sāmne  huuñ
jo  duniyā  hai  vo  de  de  sāmne  huuñ
tirī  duniyā  hai  to  har  chiiz  meñ  hai
jahāñ  bhī  huuñ  maiñ  tere  sāmne  huuñ
abhī  din  hai  batā  kyā  chāhtā  hai
abhī  zinda  huuñ  tere  sāmne  huuñ
falak  kī  jagmagātī  chhat  hai  sar  par
maiñ  hairāñ  huuñ  ki  kis  ke  sāmne  huuñ
havā  chaltī  hai  yā  gaatā  hai  koī
vo  kaun  aisā  hai  kis  ke  sāmne  huuñ
mujhe  to  sharm  aatī  hai  ye  kahte
maiñ  pyāsā  huuñ  tumhāre  sāmne  huuñ