Khaleel Rampuri

aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

Khaleel Rampuri

āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tavānā.ī aa.egī
dekhegā sabz khet to bīnā.ī aa.egī
pā.egā ḳhushbuoñ se zamīnoñ ke bhed bhī
ik roz tere kaam shanāsā.ī aa.egī
peḌoñ kī chhāñv chhoḌ kisī āb-e-jū pe baiTh
tujh meñ nahīñ to aks meñ ra.anā.ī aa.egī
duniyā kī sair kar ke nikhar jā.egā ḳhayāl
taaza havā lagegī to dānā.ī aa.egī
har naqsh āb-o-ḳhāk kā dil meñ utaar le
fankār hai to tāqat-e-goyā.ī aa.egī
shā.ir kī tarah Dol rahā hai ḳhalāoñ meñ
logoñ meñ baiTh anjuman-ārā.ī aa.egī
andhoñ ke is nagar meñ diye kī misāl ban
sahrā meñ gul khulegā to yaktā.ī aa.egī
shaffāf pāniyoñ kī tarah zindagī guzār
sūraj kī tarah tujh meñ tavānā.ī aa.egī
ghar meñ diyā jalā ki lage boltā huā
dīvār-o-dar pe zīnat-o-zebā.ī aa.egī
saaya bhī terā tujh ko kahīñ chhoḌ jā.egā
aa.ī bhī tere kaam to tanhā.ī aa.egī
garmī bahut hai aaj khulā rakh makān ko
us kī galī se raat ko purvā.ī aa.egī
kaafī hai jo ġhazal ke liye kah liyā 'ḳhalīl'
aage qadam rakhegā to gahrā.ī aa.egī
Top Urdushayar.com