āñkhoñ  ke  ā.inoñ  meñ  tavānā.ī  aa.egī
dekhegā  sabz  khet  to  bīnā.ī  aa.egī
pā.egā  ḳhushbuoñ  se  zamīnoñ  ke  bhed  bhī
ik  roz  tere  kaam  shanāsā.ī  aa.egī
peḌoñ  kī  chhāñv  chhoḌ  kisī  āb-e-jū  pe  baiTh
tujh  meñ  nahīñ  to  aks  meñ  ra.anā.ī  aa.egī
duniyā  kī  sair  kar  ke  nikhar  jā.egā  ḳhayāl
taaza  havā  lagegī  to  dānā.ī  aa.egī
har  naqsh  āb-o-ḳhāk  kā  dil  meñ  utaar  le
fankār  hai  to  tāqat-e-goyā.ī  aa.egī
shā.ir  kī  tarah  Dol  rahā  hai  ḳhalāoñ  meñ
logoñ  meñ  baiTh  anjuman-ārā.ī  aa.egī
andhoñ  ke  is  nagar  meñ  diye  kī  misāl  ban
sahrā  meñ  gul  khulegā  to  yaktā.ī  aa.egī
shaffāf  pāniyoñ  kī  tarah  zindagī  guzār
sūraj  kī  tarah  tujh  meñ  tavānā.ī  aa.egī
ghar  meñ  diyā  jalā  ki  lage  boltā  huā
dīvār-o-dar  pe  zīnat-o-zebā.ī  aa.egī
saaya  bhī  terā  tujh  ko  kahīñ  chhoḌ  jā.egā
aa.ī  bhī  tere  kaam  to  tanhā.ī  aa.egī
garmī  bahut  hai  aaj  khulā  rakh  makān  ko
us  kī  galī  se  raat  ko  purvā.ī  aa.egī
kaafī  hai  jo  ġhazal  ke  liye  kah  liyā  'ḳhalīl'
aage  qadam  rakhegā  to  gahrā.ī  aa.egī