jo  is  tarah  liye  phirtā  hai  jaañ  hathelī  par
vo  dekhnā  kabhī  jaañ  se  guzar  hī  jā.egā
ḳhayāl  hai  koī  uḌtā  huā  parind  nahīñ
jahāñ  bhī  jā.egā  be-bāl-o-par  hī  jā.egā
ye  āsmāñ  jo  azal  se  sivā  rahe  mujh  par
ye  bojh  bhī  kahīñ  sar  se  utar  hī  jā.egā
maiñ  us  kā  chāhne  vaalā  huuñ  koī  ġhair  nahīñ
vo  mere  sāmne  aa  kar  nikhar  hī  jā.egā
vo  kab  kahegā  ki  maiñ  ne  lagā.ī  thī  ye  aag
vo  jab  bhī  sāmnā  hogā  mukar  hī  jā.egā
khilā  huā  hai  nazar  meñ  gul-e-ḳhayāl  koī
'ḳhalīl'  aañkh  jo  jhapkī  bikhar  hī  jā.egā