raushnī  karne  aayā  thā  sūraj
saa.e  dekhe  to  Dhal  gayā  sūraj
pardā  jab  bhī  haTāyā  khiḌkī  se
mere  kamre  meñ  aa  gayā  sūraj
aa  ga.e  ham  chhatoñ  se  kamroñ  meñ
aur  hameñ  DhūñDhtā  phirā  sūraj
chāñdnī  bhī  udaas  lagtī  hai
mujh  ko  vīrān  kar  gayā  sūraj
raat  ne  bādbān  khol  diyā
apnā  sāmān  le  gayā  sūraj
saarā  din  kaan  bajte  rahte  haiñ
har  kiran  hai  tirī  sadā  sūraj
ek  maiñ  hī  nahīñ  huuñ  duniyā  meñ
terā  sab  se  hai  rābta  sūraj
koī  dīvār  bhī  nahīñ  haa.il
terā  darbār  hai  khulā  sūraj
saañs  terī  hai  sab  ke  sīnoñ  meñ
sab  tujhī  se  hai  silsila  sūraj
merā  terā  muqābla  kaisā
maiñ  to  huuñ  ghar  kā  ik  diyā  sūraj
aaj  kā  din  'ḳhalīl'  kyā  guzrā
aaj  dil  se  utar  gayā  sūraj