harā-bharā  thā  kabhī  jhaaḌ  sā  badan  merā
ki  ā.inoñ  meñ  jhalaktā  thā  bāñkpan  merā
charāġh  le  ke  mujhe  DhūñDne  nikaltā  thā
mire  baġhair  na  rahtā  thā  ham-suḳhan  merā
siyāhiyoñ  ke  bhañvar  se  nikal  ke  aayā  huuñ
dhulā  rahī  hai  ujāloñ  se  muñh  kiran  merā
siyāh  phuul  khilā  dhuup  kī  muñDeroñ  par
havā  meñ  Taañg  diyā  kis  ne  pairahan  merā
maiñ  reg-zār  pe  likkhī  huī  ibārat  huuñ
havā  chalegī  to  uḌ  jā.egā  badan  merā
balā  rahī  hai  mujhe  barf  se  Dhakī  choTī
paḌā  huā  hai  chaTānoñ  ke  ghar  kafan  merā
shumār  hone  lage  motiyoñ  meñ  kañkar  bhī
'ḳhalīl'  kaam  to  aayā  kisī  ke  fan  merā