Jaleel Manikpuri

unhen aadat hamein lazzat sitam ki

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
unheñ aadat hameñ lazzat sitam kī
udhar shamshīr idhar taqdīr chamkī
kahūñ kyā dard-e-dil kab se baḌhā hai
nigāh-e-lutf tum ne jab se kam kī
qadam chūmeñge tere ho ke pāmāl
chaleñge chaal ham naqsh-e-qadam kī
yahāñ tak un ke va.ade jhuuT nikle
qasam ko bhī huī hājat qasam kī
vo zulf-e-mushk-bū bikhrī huī thī
khulī chorī nasīm-e-sub.h-dam kī
yahāñ tak un ko pās-e-rāz-e-ḳhat thā
ki ḳhāme kī zabāñ pahle qalam kī
zamīñ par is adā se paañv rakkhā
ki āñkheñ khul ga.iiñ naqsh-e-qadam kī
kahāñ piirī meñ vo raushan-bayānī
zabāñ to hai charāġh-e-sub.h-dam kī
kahāñ ham aur kahāñ baḳhshish hamārī
'jalīl' ik mauj bhī abr-e-karam kī
Top Urdushayar.com