hamārā  dil  vo  gul  hai  jis  ko  zulf-e-yār  meñ  dekhā
jo  zulfeñ  ho  ga.iiñ  barham  gale  ke  haar  meñ  dekhā
bhalā  gul  kyā  tirā  ham-sar  ho  jis  kī  ye  haqīqat  hai
abhī  gulshan  meñ  dekhā  thā  abhī  bāzār  meñ  dekhā
basīrat  jab  huī  paidā  hameñ  mashq-e-tasavvur  se
jo  kuchh  ḳhalvat  meñ  dekhā  thā  abhī  bāzār  meñ  dekhā
chaman  meñ  ik  but-e-nāzuk-adā  mahv-e-tamāshā  hai
nayā  gul  aaj  ham  ne  dāman-e-gulzār  meñ  dekhā
'jalīl'  ik  naaz  kī  qīmat  dil  o  jaañ  diin  o  īmāñ  hai
ajab  andāz  ham  ne  husn  ke  bāzār  meñ  dekhā