Jaleel Manikpuri

visal-e-yar bhi hai daur mein sharab bhi hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
visāl-e-yār bhī hai daur meñ sharāb bhī hai
qamar bhī hai mire pahlū meñ āftāb bhī hai
ye husn kī nahīñ jādūgarī to phir kyā hai
ki terī aañkh meñ shoḳhī bhī hai hijāb bhī hai
kisī ko taab kahāñ hai ki tujh ko dekh sake
jo nuur hai tire ruḳh par vahī naqāb bhī hai
subūt-e-ishq ko ye do gavāh kaafī haiñ
jigar meñ daaġh bhī hai dil meñ iztirāb bhī hai
ġhurūr-e-husn tujhe jis qadar ho zebā hai
ḳhudā ke fazl se sūrat bhī hai shabāb bhī hai
sitam kī chaal sitam kī adā sitam kī nigāh
tire sitam kā sitamgar koī hisāb bhī hai
mire liye nahīñ piine kī kuchh kamī saaqī
ki chashm-e-mast bhī hai sāġhar-e-sharāb bhī hai
'jalīl' ne tumheñ chāhā to kyā gunāh kiyā
tumhīñ batāo tumhārā koī javāb bhī hai
Top Urdushayar.com