raushnī  le  kar  añdherī  raat  meñ  niklā  na  kar
raat  parde  ke  liye  hai  ḳhud  ko  be-pardā  na  kar
dahr  kā  phailāv  bhī  nuqta  nazar  aane  lage
sher  kahtā  hai  to  kah  itnā  magar  sochā  na  kar
ek  din  tū  bhī  kisī  taare  se  Takrā  jā.egā
dost  mere  raat  kī  galiyoñ  meñ  yuuñ  ghūmā  na  kar
chāñd  bhī  utrā  thā  pichhlī  shab  isī  tālāb  meñ
kyuuñ  chamaktā  hai  nahā  dho  kar  badan  poñchhā  na  kar
aa.ina  chamkā.e  rakh  sab  kuchh  nazar  aa  jā.egā
jis  kī  chāhat  ho  use  ḳhud  se  judā  samjhā  na  kar
dopahar  kī  lahr  chehre  ko  jhulas  degī  'ḳhalīl'
ghar  kī  ThanDak  chhoḌ  kar  peḌoñ  tale  baiThā  na  kar