Jaleel Manikpuri

jhum kar aaj jo matwali ghaTa aai hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946

jhuum kar aaj jo matvālī ghaTā aa.ī hai

yaad kyā kyā tirī mastāna adā aa.ī hai

aise nāzuk kabhī pāband-e-hinā hote haiñ

haath dho Daale haiñ rañgat jo zarā aa.ī hai

tum bhī ruḳhsār pe zulfoñ ko zarā bikhrā do

kaalī kaalī sar-e-gulzār ghaTā aa.ī hai

husn-e-aḳhlāq bhī hai husn-e-javānī tarah

jhuk ga.ī haiñ tirī āñkheñ jo hayā aa.ī hai

haa.e vo khol ke juuḌā ye kisī kahnā

aa.iye so raheñ ab raat sivā aa.ī hai

sach hai tum ne jo lagāyā nahīñ muñh ġhunchoñ ko

unheñ phir kis ke tabassum adā aa.ī hai

kis dil ḳhuun nahīñ hai chaman-e-ālam meñ

pattī pattī se hameñ bū-e-vafā aa.ī hai

raat bhar girya-e-shabnam se jo ġhunche the udaas

sub.h hote hañsāne ko sabā aa.ī hai

sher-ḳhvānī pe tirī sab ko gumāñ hai ki 'jalīl'

bazm meñ rūh-e-amīr-usshuarā aa.ī hai

Top Urdushayar.com