kho  ke  dil  merā  tumheñ  nā-haq  pashemānī  huī
tum  se  nādānī  huī  yā  mujh  se  nādānī  huī
allāh  allāh  phuuT  niklā  rañg  chāhat  kā  mirī
zahr  khāyā  maiñ  ne  poshāk  aap  kī  dhānī  huī
ham  ko  ho  saktā  nahīñ  dhokā  hujūm-e-hashr  meñ
terī  sūrat  hai  azal  se  jānī-pahchānī  huī
ai  sabā  maiñ  aur  kyā  duuñ  qabr-e-majnūñ  ke  liye
ḳhaak  thoḌī  sī  chaḌhā  denā  mirī  chhānī  huī
yaar  ke  hāthoñ  huā  jo  kuchh  huā  ai  teġh-e-nāz
terī  uryānī  huī  yā  merī  qurbānī  huī
kar  ga.ī  dīvāngī  ham  ko  barī  har  jurm  se
chāk-dāmānī  se  apnī  chāk-dāmānī  huī
baaḌh  dī  bāñkī  adāoñ  ne  jo  ḳhanjar  ko  'jalīl'
zab.h  karne  meñ  mire  qātil  ko  āsānī  huī