Jaleel Manikpuri

apne rahne ka Thikana aur hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
apne rahne kā Thikānā aur hai
ye qafas ye āshiyānā aur hai
maut kā aanā bhī dekhā bār-hā
par kisī par dil kā aanā aur hai
naaz uThāne ko uThāte haiñ sabhī
apne dil kā naaz uThānā aur hai
dard-e-dil sun kar tumheñ niiñd aa chukī
banda-parvar ye fasānā aur hai
raat bhar meñ sham-e-mahfil jal-bujhī
āshiqoñ kā dil jalānā aur hai
ham kahāñ phir bāġhbāñ gulshan kahāñ
ek do din āb-o-dānā aur hai
bholī bholī un kī bāteñ ho chukīñ
ab ḳhudā rakkhe zamānā aur hai
chhoḌ duuñ kyūñkar dar-e-pīr-e-muġhāñ
koī aisā āstānā aur hai
yār-e-sādiq DhūñDte ho tum 'jalīl'
mushfiq-e-man ye zamānā aur hai
Top Urdushayar.com