Jaleel Manikpuri

pila saqi bahaar aae na aae

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
pilā saaqī bahār aa.e na aa.e
ghaTā phir baar baar aa.e na aa.e
tujhe ham dekhne ā.eñge sau baar
koī dīvāna-vār aa.e na aa.e
kahe jā.eñge dard-e-dil ham apnā
kisī ko e'tibār aa.e na aa.e
vo aa jaa.eñ idhar khole hue baal
nasīm mushk-bār aa.e na aa.e
tumheñ ārām se sonā mubārak
mujhe shab bhar qarār aa.e na aa.e
havā-e-shauq meñ ab uḌ chale ham
havā-e-kū-e-yār aa.e na aa.e
tire dil meñ masarrat ke khileñ phuul
mire dil meñ bahār aa.e na aa.e
'jalīl' ab mai-kashī kā lutf uThāo
phir abr-e-nau-bahār aa.e na aa.e
Top Urdushayar.com