rāhat  na  mil  sakī  mujhe  mai-ḳhāna  chhoḌ  kar
gardish  meñ  huuñ  maiñ  gardish-e-paimāna  chhoḌ  kar
ḳhum  meñ  subū  meñ  jaam  meñ  niyyat  lagī  rahī
mai-ḳhāne  hī  meñ  ham  rahe  mai-ḳhāna  chhoḌ  kar
āñkhoñ  ko  chhoḌ  jā.ūñ  ilāhī  maiñ  kyā  karūñ
haTtī  nahīñ  nazar  ruḳh-e-jānāna  chhoḌ  kar
aatā  hai  jī  meñ  sāqi-e-mah-vash  pe  baar  baar
lab  chuum  luuñ  tirā  lab-e-paimāna  chhoḌ  kar
hotī  kahāñ  hai  dil  se  judā  dil  kī  aarzū
jaatā  kahāñ  hai  sham.a  ko  parvāna  chhoḌ  kar
do  ghūñT  ne  baḌhā  diye  rindoñ  ke  hausle
miinā  o  ḳhum  pe  jhuk  paḌe  paimāna  chhoḌ  kar
phir  bū-e-zulf-e-yār  ne  aa  kar  sitam  kiyā
phir  chal  diyā  mujhe  dil-e-dīvāna  chhoḌ  kar
yaad  aa.ī  kis  kī  aañkh  ki  riñd  uTh  khaḌe  hue
paimāna  toḌ  kar  mai  o  mai-ḳhāna  chhoḌ  kar
duniyā  meñ  āfiyat  kī  jagah  hai  yahī  'jalīl'
jaanā  kahīñ  na  gosha-e-mai-ḳhāna  chhoḌ  kar