Jaleel Manikpuri

baha kar KHun mera mujhse bole

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
bahā kar ḳhuun merā mujh se bole
ki le jiine se apne haath dho le
jo dil paayā hai to chaar ashk ro le
zamīñ achchhī milī hai biij bole
sadā apnī hai bāzār-e-junūñ meñ
dil apnā muft kā saudā hai jo le
vo jaate haiñ akele mere ghar se
nikal kar jaan tū hī saath ho le
khulegī zulf se ḳhud dil kī chorī
vo jaadū kyā na jo sar chaḌh ke bole
tujhe hai iḳhtiyār aanā na aanā
dil-e-muztar kā kahnā maan to le
ajal bolī ye turbat meñ liTā kar
bahut jaagā hai ab jī bhar ke so le
ghaTā.eñ jhūmtī haiñ mai-kade par
ki pariyāñ uḌ rahī haiñ baal khole
kisī ko de diyā dil muft apnā
'jalīl' aise hī to haiñ aap bhole
Top Urdushayar.com