Jaleel Manikpuri

na KHushi achchhi hai ai dil na malal achchha hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946

na ḳhushī achchhī hai ai dil na malāl achchhā hai

yaar jis haal meñ rakkhe vahī haal achchhā hai

dil-e-betāb ko pahlū meñ machalte kyā der

sun le itnā kisī kāfir jamāl achchhā hai

baat ulTī vo samajhte haiñ jo kuchh kahtā huuñ

ab ke pūchhā to ye kah dūñgā ki haal achchhā hai

sohbat ā.īne se bachpan meñ ḳhudā ḳhair kare

vo abhī se kahīñ samjheñ na jamāl achchhā hai

mushtarī dil ye kah kah ke banāyā un ko

chiiz anokhī hai na.ī jins hai maal achchhā hai

chashm o dil jis ke hoñ mushtāq vo sūrat achchhī

jis tārīf ho ghar ghar vo jamāl achchhā hai

yaar tak roz pahuñchtī hai burā.ī merī

rashk hotā hai ki mujh se mirā haal achchhā hai

apnī āñkheñ nazar aatī haiñ jo achchhī un ko

jānte haiñ mire bīmār haal achchhā hai

bātoñ bātoñ meñ lagā laa.e hasīnoñ ko 'jalīl'

tum ko bhī sehr-bayānī meñ kamāl achchhā hai

Top Urdushayar.com