Jaleel Manikpuri

ishq ab meri jaan hai goya

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
ishq ab merī jaan hai goyā
jaan ab mehmān hai goyā
jis ko dekho vahī hai garm-e-talāsh
kahīñ us kā nishān hai goyā
hai qayāmat uThān zālim kī
vo abhī se javān hai goyā
māñge jā.eñge tujh ko ham tujh se
muñh meñ jab tak zabān hai goyā
jī bahalne ko log sunte haiñ
dard-e-dil dāstān hai goyā
dil meñ kaise vo be-takalluf haiñ
un kā apnā makān hai goyā
haa.e us ālam-āshnā kī nazar
har nazar meñ jahān hai goyā
achchhe-achchhoñ ko phāñs rakkhā hai
zāl-e-duniyā javān hai goyā
is suḳhan kā 'jalīl' kyā kahnā
'mus.hafī' kī zabān hai goyā
Top Urdushayar.com