Jaleel Manikpuri

aaj tak dil ki aarzu hai wahi

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
aaj tak dil kī aarzū hai vahī
phuul murjhā gayā hai bū hai vahī
sau bahāreñ jahāñ meñ aa.ī ga.iiñ
māya-e-sad-bahār tū hai vahī
jo ho puurī vo aarzū hī nahīñ
jo na puurī ho aarzū hai vahī
maan letā huuñ tere va.ade ko
bhuul jaatā huuñ maiñ ki tū hai vahī
tujh se sau baar mil chuke lekin
tujh se milne kī aarzū hai vahī
sabr aa jaa.e is kī kyā ummīd
maiñ vahī, dil vahī hai, tū hai vahī
ho ga.ī hai bahār meñ kuchh aur
varna sāġhar vahī subū hai vahī
umr guzrī talāsh meñ lekin
garmī-hā-e-justujū hai vahī
mai-kade kā 'jalīl' rañg na pūchh
raqs-e-jām o ḳhum o subū hai vahī
Top Urdushayar.com