Jaleel Manikpuri

dil gaya dil-lagi nahin jati

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
dil gayā dil-lagī nahīñ jaatī
rote rote hañsī nahīñ jaatī
āñkheñ saaqī kī jab se dekhī haiñ
ham se do ghūñT pī nahīñ jaatī
kabhī ham bhī taḌap meñ bijlī the
ab to karvaT bhī lī nahīñ jaatī
un ko siine se bhī lagā dekhā
haa.e dil kī lagī nahīñ jaatī
baat karte vo qatl kartā hai
baat bhī jis se kī nahīñ jaatī
aap meñ aa.e bhī to kyā aa.e
lazzat-e-be-ḳhudī nahīñ jaatī
haiñ vahī mujh se kāvisheñ dil kī
dost kī dushmanī nahīñ jaatī
ho ga.e phuul zaḳhm-e-dil khil kar
nahīñ jaatī hañsī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com