haa.e  dam  bhar  bhī  dil  Thahar  na  sakā
haath  siine  pe  koī  dhar  na  sakā
ā.īna  kis  se  dekhā  jaatā  hai
rashk  ke  maare  vo  sañvar  na  sakā
rah  gayā  aañkh  meñ  nazākat  se
dil  meñ  naqsha  tirā  utar  na  sakā
is  jahāñ  se  guzar  ga.e  lākhoñ
us  galī  se  koī  guzar  na  sakā
mai-kashī  se  najāt  mushkil  hai
mai  kā  Duubā  kabhī  ubhar  na  sakā
merā  naama  ḳhat-e-muqaddar  thā
ki  nazar  se  tirī  guzar  na  sakā
jo  tire  ishq  meñ  tabāh  huā
koī  us  ko  tabāh  kar  na  sakā
aag  aisī  lagī  thī  siine  meñ
aañkh  se  dil  meñ  vo  utar  na  sakā
mausam-e-gul  meñ  bhī  'jalīl'  afsos
dāman  apnā  guloñ  se  bhar  na  sakā