haa.e  dam  bhar  bhī  dil  Thahar  na  sakā
haath  siine  pe  koī  dhar  na  sakā
ā.īna  kis  se  dekhā  jaatā  hai
rashk  ke  maare  vo  sañvar  na  sakā
rah  gayā  aañkh  meñ  nazākat  se
dil  meñ  naqsha  tirā  utar  na  sakā
vus.at-e-zarf  se  rahā  mahrūm
jaam  merā  kisī  se  bhar  na  sakā
is  jahāñ  se  guzar  ga.e  lākhoñ
is  galī  se  koī  guzar  na  sakā
mai-kashī  se  najāt  mushkil  hai
mai  kā  Duubā  kabhī  ubhar  na  sakā
ashk  jaarī  the  yād-e-gesū  meñ
raat  bhar  qāfila  Thahar  na  sakā
mausam-e-gul  meñ  bhī  'jalīl'  afsos
dāman  apnā  guloñ  se  bhar  na  sakā