marne  vaale  ḳhuub  chhūTe  gardish-e-ayyām  se
so  rahe  haiñ  paañv  phailā.e  hue  ārām  se
aur  to  matlab  nahīñ  kuchh  ham  ko  daur-e-jām  se
haañ  evaz  letā  hai  saaqī  gardish-e-ayyām  se
garche  tark-e-āshnā.ī  ko  zamāna  ho  gayā
lekin  ab  tak  chauñk  uThte  haiñ  vo  mere  naam  se
ishtiyāq-e-mai-kashī  kuchh  mai-kashī  se  kam  nahīñ
ham  to  saaqī  mast  ho  jaate  haiñ  ḳhālī  jaam  se
mai-kade  kā  raaz  parde  hī  meñ  rahnā  ḳhuub  thā
dekh  saaqī  shīsha  kuchh  kahtā  hai  thak  kar  jaam  se
zulf-e-sumbul  nik.hat-e-gul  mauj-e-sabza  mauj-e-āb
baaġh  meñ  koī  jagah  ḳhālī  na  dekhī  daam  se
ham  faqīr-e-mai-kada  saaqī  hameñ  kyā  chāhiye
hai  vahī  kaafī  chhalak  jaatī  hai  jitnī  jaam  se
be-nishāñ  tujh  ko  samajh  kar  sabr  aa  jaatā  mujhe
par  ye  mushkil  hai  ki  maiñ  vāqif  huuñ  tere  naam  se
kyā  ḳhudā  kī  shaan  hai  jin  kā  vazīfa  thā  'jalīl'
aaj  vo  kahte  haiñ  maiñ  vāqif  nahīñ  is  naam  se