qafas  meñ  ashk-e-hasrat  par  madār-e-zindagānī  hai
yahī  daane  kā  daanā  hai  yahī  paanī  kā  paanī  hai
mile  the  aaj  barsoñ  meñ  magar  allāh  kī  qudarat
vahī  sūrat  vahī  rañgat  vahī  josh-e-javānī  hai
hameñ  vo  jaan  bhī  leñge  hameñ  pahchān  bhī  leñge
utar  jā.egā  sab  nashsha  abhī  chaḌhtī  javānī  hai
kaleje  se  lagā  rakhkhūñ  na  kyuuñ  dard-e-judā.ī  ko
yahī  to  ik  dil-e-marhūm  kī  baaqī  nishānī  hai
ye  sach  hai  yā  ġhalat  ham  ne  sunā  hai  marne  vāloñ  se
tire  ḳhanjar  meñ  qātil  chashma-e-haivāñ  kā  paanī  hai
batā.e  jaate  haiñ  ausāf  vo  apnī  adāoñ  ke
ye  shān-e-dil-raubā.ī  hai  ye  tarz-e-jāñ-satānī  hai
yahāñ  kyā  jāniye  kis  tarah  dekhā  hai  tasavvur  meñ
vahāñ  ab  tak  vahī  parde  ke  andar  lan-tarānī  hai
kareñ  tasḳhīr  aao  mil  ke  ham  tum  donoñ  aalam  ko
idhar  jādū-nigāhī  hai  udhar  jādū-bayānī  hai
'jalīl'  ik  sher  bhī  ḳhālī  na  paayā  dard  o  hasrat  se
ġhazal-ḳhvānī  nahīñ  ye  dar-haqīqat  nauha-ḳhvānī  hai