kisī  taur  ho  na  pinhāñ  tirā  rañg-e-rū-siyāhī
vo  sab  āñkheñ  bujh  chukī  haiñ  ki  jo  deñ  mirī  gavāhī
ho  nasīb  har  kisī  ko  kahāñ  manzil-e-mohabbat
ki  ujaḌtī  jaa.eñ  rāheñ  ki  bikharte  jaa.eñ  raahī
tire  nuur  par  fidā  huuñ  magar  is  qadar  fidā  huuñ
mujhe  dekh  hī  na  paa.e  ye  jahāñ  kī  kam-nigāhī
maiñ  jo  aah  bhar  rahā  huuñ  tujhe  yaad  kar  rahā  huuñ
ki  tire  baġhair  maiñ  ne  kabhī  zindagī  na  chāhī
koī  yaad  ham-nafas  ho  jo  mire  liye  qafas  ho
ki  azal  se  jis  tarah  hai  ye  jahān-e-āb-o-māhī
yahī  zindagī  gulistāñ  yahī  zindagī  hai  zindāñ
isī  zindagī  se  maiñ  ne  yūñhī  dostī  nibāhī
sar-e-shām  luT  chukā  huuñ  sar-e-ām  luT  chukā  huuñ
ki  Dakait  ban  chuke  haiñ  ka.ī  shahr  ke  sipāhī