zālim  butoñ  se  aañkh  lagā.ī  na  jā.egī
patthar  kī  choT  dil  se  uThā.ī  na  jā.egī
hone  do  ho  rahe  haiñ  jo  ulfat  ke  tazkire
bigḌoge  tum  to  baat  banā.ī  na  jā.egī
kah  do  ye  sham.a  se  ki  abas  tū  hai  ashk-bār
paanī  se  dil  kī  aag  bujhā.ī  na  jā.egī
chilman  ho  yā  naqāb  ho  yā  parda-e-hayā
sūrat  tirī  kisī  se  chhupā.ī  na  jā.egī
mumkin  hai  tīr-e-nāz  se  dil  ko  bachā  bhī  luuñ
lekin  nazar  kī  choT  bachā.ī  na  jā.egī
āñkheñ  ḳhudā  ne  dī  haiñ  to  dekheñge  husn-e-yār
kab  tak  naqāb  ruḳh  se  uThā.ī  na  jā.egī
tauba  ko  muñh  lagā  ke  ḳhajil  hoge  tum  'jalīl'
jaam  o  subū  se  aañkh  milā.ī  na  jā.egī