ghaTā  diyā  rutba  har  hasīñ  kā  miTā  diyā  rañg  hūr-e-īñ  kā
nahīñ  hai  ye  chāñd  chaudhvīñ  kā  shabāb  kā  mere  mah-jabīñ  kā
ye  raat  hai  vasl  kī  mirī  jaañ  bhare  haiñ  dil  meñ  hazāroñ  armāñ
nahīñ  na  nikle  zabāñ  se  haañ  haañ  are  ye  mauqa.a  nahīñ  nahīñ  kā
tabāh  vahshat  meñ  huuñ  maiñ  dar  dar  abhī  bigaḌ  jaa.e  ye  banā  ghar
jo  dil  meñ  rakkhūñ  tujhe  sitamgar  to  dil  na  rakkhe  mujhe  kahīñ  kā
na  qatl  se  mere  haath  khīñcho  lahū  bahā  kar  bahār  dekho
paḌegī  uḌ  kar  jo  chhīñT  is  kī  banegī  vo  phuul  āstīñ  kā
sitam  thā  bachpan  kā  vo  zamāna  ġhazab  vo  dil  kā  pasand  aatā
vo  god  meñ  merī  loT  jaanā  machal  machal  kar  kisī  hasīñ  kā
tumhīñ  se  rū-e-zamīñ  mo.attar  tumhīñ  se  sat.h-e-falak  munavvar
tumhīñ  to  ho  phuul  yāsmīñ  kā  tumhīñ  to  ho  chāñd  chaudhvīñ  kā
udhar  sabā  ne  ye  gul  khilāyā  chaman  meñ  kaliyoñ  ko  gudgudāyā
idhar  hañsī  ne  sitam  ye  Dhāyā  ki  muñh  liyā  chuum  us  hasīñ  kā
ye  raat  itnī  jo  baḌh  ga.ī  hai  siyāhī  itnī  jo  chaḌh  ga.ī  hai
kahīñ  khulā  hai  zarūr  joḌā  kisī  ke  gesū-e-ambarīñ  kā
jo  ġhair  se  yaar  tū  milā  hai  to  dekh  kaisā  Dubo  rahā  hai
tujhe  mire  āñsuoñ  kā  dariyā  mujhe  pasīna  tirī  jabīñ  kā
na  bahr  jaarī  sahāb  se  hai  na  chaah  labrez  aab  se  hai
vo  dāman-e-tar  kā  ik  laqab  hai  ye  naam  hai  merī  āstīñ  kā
jo  dekh  le  us  kī  sūrat  insān  agar  ho  kāfir  to  laa.e  īmāñ
jamāl  kyā  hai  but-e-hasīñ  kā  kamāl  hai  sūrat-āfrīñ  kā
na  shauq-e-nazzāra  mujh  se  pūchho  ye  kah  ke  sotā  huuñ  roz  shab  ko
uThūñ  jo  maiñ  sub.h  ko  ilāhī  to  muñh  dikhānā  kisī  hasīñ  kā
kuchh  aisī  kī  maiñ  ne  jab.ha-sā.ī  ki  miT  ga.ī  baḳht  kī  burā.ī
milā  jo  us  dar  se  dāġh-e-sajda  sitāra  chamkā  mirī  jabīñ  kā
zabāñ  se  ho  shukr  adā  kahāñ  tak  baḌā  hī  thā  dil-navāz  nāvak
kuchh  is  adā  se  jigar  pe  baiThā  maza  milā  yār-e-ham-nashīñ  kā
phirā  adam  se  na  koī  hamdam  ki  haal  yāroñ  kā  pūchhte  ham
ajiib  dilchasp  hai  do-ālam  ki  jo  gayā  ho  gayā  vahīñ  kā
araq  araq  hai  jo  rū-e-gul-gūñ  ye  ḳhuub  mauqa.a  hai  ab  na  chaukūñ
maiñ  sarnavisht  apnī  dho  hī  Dālūñ  pasīna  le  kar  tirī  jabīñ  kā
'jalīl'  kyā  baat  is  suḳhan  kī  ġhazal  meñ  hai  tāzgī  chaman  kī
jo  sher  hai  shāḳh  nastaran  kī  jo  lafz  hai  phuul  yāsmīñ  kā