aur  un  āñkhoñ  ne  mere  dil  kī  hālat  zaar  kī
ho  nahīñ  saktī  davā  bīmār  se  bīmār  kī
mohr  kī  un  par  zarūrat  kyā  hai  ai  pīr-e-muġhāñ
ek  ik  ḳham  par  lagī  hai  aañkh  har  mai-ḳhvār  kī
ḳhair  ho  yā-rab  kahīñ  vo  ḳhud  na  ban  jaa.eñ  raqīb
ā.īne  par  aaj  paḌtī  haiñ  nigāheñ  pyaar  kī
ḳhuun  kar  ke  dil  hamārā  phir  ga.ī  vo  mast  aañkh
ek  hī  chullū  meñ  niyyat  bhar  ga.ī  mai-ḳhvār  kī
diid  ke  tālib  the  muusā  tuur  ko  thī  kyā  ḳhabar
phūñk  kar  rakh  degī  bijlī  jalva-e-dīdār  kī
jalva-e-mahbūb  se  ḳhālī  na  dekhā  dil  koī
ā.īne  haiñ  saikḌoñ  aur  ek  sūrat  yaar  kī
ho  subuk-raftār  kitnī  hī  nasīm-e-sub.h-dam
aañkh  khul  jaatī  hai  phir  bhī  nargis-e-bīmār  kī
duḳhtar-e-raz  ne  diye  chhīñTe  kuchh  aise  sāqiyā
paanī  paanī  ho  ga.ī  tauba  har  ik  mai-ḳhvār  kī
kuchh  phale-phūle  na  ye  nāzuk  mazāmīñ  ai  'jalīl'
be-khile  murjhā  ga.iiñ  kaliyāñ  mire  gulzār  kī