Jaleel Manikpuri

raaz-e-ishq izhaar ke qabil nahin

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
rāz-e-ishq iz.hār ke qābil nahīñ
jurm ye iqrār ke qābil nahīñ
aañkh par ḳhuuñ shaq jigar dil dāġhdār
koī nazr-e-yār ke qābil nahīñ
diid ke qābil hasīñ to haiñ bahut
har nazar dīdār ke qābil nahīñ
de rahe haiñ mai vo apne haath se
ab ye shai inkār ke qābil nahīñ
jaan dene kī ijāzat dījiye
sar mirā sarkār ke qābil nahīñ
chhoḌ bhī gulshan ko ai nargis kahīñ
ye havā bīmār ke qābil nahīñ
shā.erī ko tab-e-rañgīñ chāhiye
har zamīñ gulzār ke qābil nahīñ
ḳhāmushī merī ye kahtī hai 'jalīl'
dard-e-dil iz.hār ke qābil nahīñ
Top Urdushayar.com