muft  meñ  toḌ  ke  rakh  dī  mirī  tauba  tū  ne
kaam  patthar  kā  kiyā  shīsha-sahbā  tū  ne
maiñ  ne  kī  jāma-darī  aur  unheñ  shikva  hai
kar  diyā  chaak  mire  husn  kā  pardā  tū  ne
kis  qadar  hosh-rubā  hai  nigah-e-mast  tirī
us  ko  dekhā  na  sambhalte  jise  dekhā  tū  ne
tū  nigāhoñ  meñ  tasavvur  meñ  jigar  meñ  dil  meñ
fā.eda  kyā  jo  kiyā  aañkh  se  pardā  tū  ne
ham  na  kahte  the  nahīñ  tāqat-e-dīdār  'jalīl'
kyā  huā  jalva-gah-e-nāz  meñ  dekhā  tū  ne