mirī  taraf  se  ye  be-ḳhayālī  na  jaane  un  ko  ḳhayāl  kyā  hai
kabhī  na  pūchhā  malāl  kyā  hai  kabhī  na  dekhā  ki  haal  kyā  hai
mubārak  aġhyār  se  ta.alluq  na.ī  hai  chāhat  nayā  ta.ashshuq
balā  se  ham  ho  ga.e  tasadduq  tumheñ  ab  is  kā  malāl  kyā  hai
tujhī  ko  jaanā  tujhī  ko  maanā  tujhī  pa  dī  jaan  ġhā.ebāna
chhupā  nahīñ  kuchh  mirā  fasāna  ye  ab  javāb-o-savāl  kyā  hai
visāl  ho  yā  rahe  jaddā.ī  tumhārī  ai  jaan  jaisī  marzī
jo  apnī  hālat  thī  maiñ  ne  kah  dī  ab  aage  merī  majāl  kyā  hai
nazar  uThā.eñ  jo  aarsī  se  to  un  se  pūchhūñ  ye  maiñ  hañsī  se
lagā.ī  hai  aañkh  kyā  kisī  se  kaho  to  ye  dekh-bhāl  kyā  hai
dar-e-mohabbat  kā  ik  gadā  huuñ  parī  kā  tālib  na  huur  kā  huuñ
tujhī  ko  tujh  se  maiñ  chāhtā  huuñ  bas  aur  merā  savāl  kyā  hai
kahāñ  tak  ai  vā.izo  ye  jhagḌe  maze  uThāne  do  be-ḳhudī  ke
jo  hosh  meñ  huuñ  to  maiñ  ye  samjhūñ  harām  kyā  hai  halāl  kyā  hai
bas  ab  mohabbat  se  haath  uThāo  bhale  ko  kahte  haiñ  maan  jaao
na  aap  ko  is  tarah  miTāo  'jalīl'  dekho  to  haal  kyā  hai