Jaleel Manikpuri

dil ke sab dagh khile hain gul-e-KHandan ho kar

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
dil ke sab daaġh khile haiñ gul-e-ḳhandāñ ho kar
rañg laayā hai ye ġhuncha chamanistāñ ho kar
dāman-e-tar hai ki daftar hai ye rusvā.ī kā
merī āñkhoñ ne Duboyā mujhe giryāñ ho kar
niiñd aa.ī jo kabhī zulf ke dīvāne ko
chauñk uThā ḳhvāb-e-pareshāñ se pareshāñ ho kar
nigah-e-shauq to dar-parda ḳhabar letī hai
aap jā.eñge kahāñ aañkh se pinhāñ ho kar
jalva-gar ā.ina-ḳhāne meñ huā kaun hasīñ
naqsh-e-dīvār haiñ sab aa.ine hairāñ ho kar
dil meñ aa.e haiñ to ab dil se nikalte hī nahīñ
ghar pe qabza kiye baiThe haiñ vo mehmāñ ho kar
shuhra-e-husn abhī kyā hai shabāb aane do
naam chamkegā tumhārā mah-e-tābāñ ho kar
qatl ke ba.ad vafā merī jo yaad aa.ī hai
sar jhukā.e hue baiThe haiñ pashemāñ ho kar
mast āñkhoñ pe bikhar jaatī hai jab zulf 'jalīl'
maiñ samajhtā huuñ ghaTā chhā.ī hai mai-ḳhānoñ par
Top Urdushayar.com