Jaleel Manikpuri

chaal aisi wo shoKH chalta hai

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946
chaal aisī vo shoḳh chaltā hai
hashr kā jis pe dam nikaltā hai
ashk-e-ḳhūñ kyuuñ na aañkh se Tapkeñ
dil kā armāñ yūñhī nikaltā hai
sāqiyā ek jaam ke chalte
kitne pyāsoñ kā kaam chaltā hai
maiñ kisī sarzamīñ kā qasd karūñ
āsmāñ saath saath chaltā hai
haa.e gardish vo chashm-e-sāqī kī
maiñ ye samjhā ki jaam chaltā hai
sarv hai naam naḳhl-e-ulfat kā
phūltā hai kabhī na phaltā hai
kyā zamāna bhī hai asiir tirā
ki ishāre pe tere chaltā hai
tiir dil kā na khīñch rahne de
lutf-e-sohbat hai jī bahaltā hai
sher-e-rañgīñ na samjho un ko 'jalīl'
tūti-e-fikr laal ugaltā hai
Top Urdushayar.com