Jaleel Manikpuri

han jise aashiqi nahin aati

Jaleel Manikpuri

Manikpur, Uttar pradesh, India

1866-1946

haañ jise āshiqī nahīñ aatī

lazzat-e-zindagī nahīñ aatī

jaise us kabhī ye ghar na thā

dil meñ barsoñ ḳhushī nahīñ aatī

jab se bulbul asīr-e-dām huī

kisī gul ko hañsī nahīñ aatī

sab sharābī mujhe kaheñ tujh ko

sharm ai be-ḳhudī nahīñ aatī

yuuñ to aatī haiñ saikḌoñ bāteñ

vaqt par ek bhī nahīñ aatī

sochtā kyā hai bhī le zāhid

kuchh qayāmat abhī nahīñ aatī

intihā ġham is ko kahte haiñ

zaḳhm ko bhī hañsī nahīñ aatī

kauñdtī hai hazār rañg se barq

phir bhī shoḳhī tirī nahīñ aatī

sarf jab tak na ḳhūn-e-dil ho 'jalīl'

rañg par shā.erī nahīñ aatī

Top Urdushayar.com