ye  kahnā  us  se  ai  qāsid  jo  mahv-e-ḳhud-parastī  hai
ki  tere  dekhne  ko  aañkh  muddat  se  tarastī  hai
bane  haiñ  jab  se  vo  saaqī  maze  kī  mai-parastī  hai
idhar  mai  hai  piyāloñ  meñ  udhar  āñkhoñ  meñ  mastī  hai
tirī  āñkhoñ  ke  sadqe  ek  duniyā  un  meñ  bastī  hai
fusūñ  hai  sehr  hai  e.ajāz  hai  shoḳhī  hai  mastī  hai
tabāhī  dil  meñ  rahtī  hai  ḳharābī  dil  meñ  bastī  hai
yahī  ābād  bastī  hai  yahī  vīrān  bastī  hai
nigāhoñ  se  milātā  huuñ  nigāheñ  is  tamannā  meñ
vo  mere  dil  meñ  aa  jaa.e  jo  un  āñkhoñ  meñ  mastī  hai
vo  jins-e-dil  kī  qīmat  pūchhte  haiñ  maiñ  batā.ūñ  kyā
yahī  mahñgī  sī  mahñgī  hai  yahī  sastī  sī  sastī  hai
na  sahbā  hai  na  sāġhar  hai  na  miinā  hai  na  ḳhum  saaqī
mujhe  jo  mast  kartī  hai  tirī  āñkhoñ  kī  mastī  hai
azal  se  haq-parastī  but-parastī  sunte  aate  haiñ
magar  ye  aap  kā  mashrab  nirālā  ḳhud-parastī  hai
javānī  ne  diye  haiñ  un  ko  lā  kar  ham-nashīñ  kyā  kyā
adā  meñ  naaz  chitvan  meñ  hayā  āñkhoñ  meñ  mastī  hai
madār-e-zindagī  Thahrā  nafas  kī  āmad-o-shud  par
havā  ke  zor  se  raushan  charāġh-e-bazm-e-hastī  hai
tamāshā  hai  mirī  rindī  ki  sāġhar  haath  meñ  le  kar
har  ik  se  pūchhtā  huuñ  maiñ  kahīñ  thoḌī  sī  mastī  hai
firāq-e-rūh  kyūñkar  ho  gavārā  jism-e-insāñ  ko
ujaḌ  kar  phir  nahīñ  ābād  hotī  ye  vo  bastī  hai
vo  mai-kash  huuñ  ki  aatā  hai  jo  lab  par  naam  tauba  kā
to  mujh  par  josh  meñ  aa  kar  ghaTā  kyā  kyā  barastī  hai
ajab  shai  jins-e-ulfat  hai  ki  dil  jaa.e  to  haath  aa.e
hamesha  ek  qīmat  hai  na  mahñgī  hai  na  sastī  hai
jabhī  tak  aks  qaa.em  hai  ki  ā.īna  muqābil  ho
hamārī  ye  haqīqat  hai  hamārī  itnī  hastī  hai
yaqīñ  jaano  ki  muñh  dekhī  mohabbat  ham  nahiñ  rakhte
vo  ā.īna  hai  jo  vārafta-e-sūrat-parastī  hai
bahut  jhaTke  na  de  dast-e-junūñ  jaib-o-garebāñ  ko
rahe  tujh  ko  lihāz  is  kā  purānā  raḳht-e-hastī  hai
dil-e-āshiq  meñ  hasrat  bhī  hai  armāñ  bhī  tamannā  bhī
vo  jis  bastī  meñ  rahte  haiñ  baḌī  ābād  bastī  hai
fanā  avval  bhī  thī  āḳhir  bhī  honā  hai  fanā  ham  ko
kareñ  kyā  do  adam  ke  biich  meñ  ik  apnī  hastī  hai
'jalīl'  ustād  kā  kahnā  suno  bāñdho  kamar  tum  bhī
ajab  bastī  madīna  hai  jahāñ  rahmat  barastī  hai