nigāh  barq  nahīñ  chehra  āftāb  nahīñ
vo  aadmī  hai  magar  dekhne  kī  taab  nahīñ
gunah  gunah  na  rahā  itnī  bāda-noshī  kī
ab  ek  shaġhl  hai  kuchh  lazzat-e-sharāb  nahīñ
hameñ  to  duur  se  āñkheñ  dikhā.ī  jaatī  haiñ
naqāb  lipTī  hai  us  par  koī  itaab  nahīñ
piye  baġhair  chaḌhī  rahtī  hai  hasīnoñ  ko
vahāñ  shabāb  hai  kyā  kam  agar  sharāb  nahīñ
bahār  detā  hai  chhan  chhan  ke  nuur  chehre  kā
sar-e-naqāb  hai  jo  kuchh  tah-e-naqāb  nahīñ
vo  apne  aks  ko  āvāz  de  ke  kahte  haiñ
tirā  javāb  to  maiñ  huuñ  mirā  javāb  nahīñ
use  bhī  aap  ke  hoñToñ  kā  paḌ  gayā  chaskā
hazār  chhoḌiye  chhuTne  kī  ab  sharāb  nahīñ
butoñ  se  parda  uThāne  kī  bahas  hai  bekār
khulī  dalīl  hai  kaaba  bhī  be-naqāb  nahīñ
'jalīl'  ḳhatm  na  ho  daur-e-jām-e-mīnā.ī
ki  is  sharāb  se  baḌh  kar  koī  sharāb  nahīñ