bin  tire  kyā  karūñ  jahāñ  le  kar
ye  zamīñ  aur  ye  āsmāñ  le  kar
ashk  chhalkā.e  baal  bikhrā.e
vo  ga.e  merī  dāstāñ  le  kar
do  jahāñ  kī  talab  se  fāriġh  huuñ
terā  dar  terā  āstāñ  le  kar
uḌ  ga.e  sab  chaman  ko  rah  ga.e  ham
chaar  tinkoñ  kā  āshiyāñ  le  kar
rañg-e-mahfil  tirā  baḌhāne  ko
aa.e  ham  chashm-e-ḳhūñ-fishāñ  le  kar
sab  ga.e  pūchhne  mizāj  un  kā
maiñ  gayā  apnī  dāstāñ  le  kar
sab  phire  le  ke  apne  yūsuf  ko
maiñ  phirā  gard-e-kārvāñ  le  kar
sab  uḌe  le  ke  phuul  gulshan  se
aur  ham  apnā  āshiyāñ  le  kar
merī  taqdīr  kyā  batā.ūñ  'jalīl'
jā  rahī  hai  kahāñ  kahāñ  le  kar