ye  dil  hī  jalva-gāh  hai  us  ḳhush-ḳhirām  kā
dekhā  to  sirf  naam  hai  bait-ul-harām  kā
ma.anī  meñ  lafz  ek  hai  ye  rabb-o-rām  kā
hāsil  ye  hai  ki  hai  vahī  hāsil  kalām  kā
dekhā  to  sab  haqīqat-o-ma.anī  meñ  ek  haiñ
sūrat  meñ  garche  farq  hai  aapas  meñ  naam  kā
us  lā-makāñ  kā  koī  muayyan  nahīñ  makāñ
gar  hai  to  dil  Thikānā  hai  us  ke  maqām  kā
masrūr  terī  mai  se  ik  aalam  hai  sāqiyā
ummīd-vār  maiñ  bhī  huuñ  do  ek  jaam  kā
āġhāz-e-ishq  meñ  gayā  dil  haath  se  mire
anjām  kyā  ho  dekhiye  ab  mere  kaam  kā
lete  haiñ  chuur  karne  ko  hī  sañg-dil  huzūr
kiyā  hai  vagarna  shīsha-e-dil  un  ke  kaam  kā