Tuk  dekhiyo  ye  abrū-e-ḳhamdār  vahī  hai
kushta  huuñ  maiñ  jis  kā  so  ye  tarvār  vahī  hai
mansūr  sā  koī  na  huā  ḳhalq  jahāñ  meñ
is  mamlakat-e-faqr  kā  sardār  vahī  hai
pūchhā  jo  maiñ  us  se  ki  'huzūr'  aisā  koī  aur
gāhak  bhī  hai  yā  ek  ḳharīdār  vahī  hai
itnī  jo  aziyyat  use  detā  hai  tū  har  dam
kyā  qābil-e-jaur-o-sitam  ai  yaar  vahī  hai
kahne  lagā  ham  logoñ  kā  mashrab  to  yahī  hai
jo  koī  bahut  chāhe  gunahgār  vahī  hai