ashk  āñkhoñ  ke  andar  na  rahā  hai  na  rahegā
ye  tifl  hai  abtar  na  rahā  hai  na  rahegā
mun.im  na  ho  maġhrūr  sadā  paas  kasū  ke
sīm-o-zar-o-gauhar  na  rahā  hai  na  rahegā
gar  aish  mayassar  ho  to  kar  liije  kam-o-besh
sab  vaqt  barābar  na  rahā  hai  na  rahegā
āñkhoñ  se  isī  tarah  agar  sail  ravāñ  hai
duniyā  meñ  koī  ghar  na  rahā  hai  na  rahegā
jab  duḳhtar-e-raz  le  ke  'huzūr'  aa  gayā  saaqī
phir  zohd  barādar  na  rahā  hai  na  rahegā