yuuñ  to  dil  har  kadām  rakhtā  hai
ahl-e-dil  honā  kaam  rakhtā  hai
kab  vo  tama-e-salām  rakhtā  hai
mujh  sā  lākhoñ  ġhulām  rakhtā  hai
ishrat-e-do-jahāñ  hai  us  ke  saath
jo  surāhī-o-jām  rakhtā  hai
hai  vahī  ḳhaas  bazm-e-duniyā  meñ
jo  madārā-e-ām  rakhtā  hai
dīn-o-duniyā  kā  jo  nahīñ  pāband
vo  farāġhat  tamām  rakhtā  hai
but-parastoñ  ko  kui  kahe  hai  zubūñ
kui  musalmāñ  ko  naam  rakhtā  hai
har  koī  apnī  fahm-e-nāqis  meñ
puḳhta  saudā-e-ḳhām  rakhtā  hai
jo  kisū  ko  burā  kahe  na  'huzūr'
vahī  fahm-mañd  naam  rakhtā  hai