Iliyas Babar Aawan

ye jo tartib se bana hua main

Iliyas Babar Aawan

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1976
ye jo tartīb se banā huā maiñ
ek muddat meñ rāsta huā maiñ
log aate the dekhne mujh ko
aise patthar se ā.īna huā maiñ
kyā ḳhabar kab nazar meñ aa jā.ūñ
shor meñ ek boltā huā maiñ
ab to pahchān meñ nahīñ aatā
terī dīvār se juḌā huā maiñ
shahr ke biich aa gayā ik din
sahn ke biich dauḌtā huā maiñ
aap bhī apnā shauq farmā.eñ
jaane kitnoñ kā huuñ Dasā huā maiñ
shaam hotī hai to nikaltā huuñ
us kī palkoñ se chīḳhtā huā maiñ
Top Urdushayar.com