jīte-jī  dukh  sukh  ke  lamhe  aate  jaate  rahte  haiñ
ham  to  zarā  sī  baat  pe  pahroñ  ashk  bahāte  rahte  haiñ
vo  apne  māthe  par  jhūTe  rog  sajā  kar  phirte  haiñ
ham  apnī  āñkhoñ  ke  jalte  zaḳhm  chhupāte  rahte  haiñ
soch  se  paikar  kaise  tarshe  soch  kā  ant  nirālā  hai
ḳhaak  pe  baiThe  āḌe-tirchhe  naqsh  banāte  rahte  haiñ
sāhil  sāhil  daar  saje  haiñ  mauj  mauj  zanjīreñ  haiñ
Dūbne  vaale  dariyā  dariyā  jashn  manāte  rahte  haiñ
'aḳhtar'  ab  insāf  kī  āñkheñ  zar  kī  khanak  se  khultī  haiñ
ham  pāgal  haiñ  lohe  kī  zanjīr  hilāte  rahte  haiñ